Urdu Poetry

Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtiyar kerna hai
Woh sach kahay na kahay aitabar kerna hai
Yeh tujh ko jagtay rehney ka shoq kab se howa
Mujhe tu khair tera intezaar kerna hai
Hawa ki zad main jalanay hain ANSUOON ke charagh
Kabhi yeh jashan sar-e-raahguzar bhi kerna hai
Woh muskara ke naye waswasoon main daal gaya
Khayal tha usay sharam-saar karna hai
KHUDA khabar yeh koi zid, ke shoq hai “MOHSIN”
Khud apni JAAN K DUSHMAN se pyar kerna hai...♥







Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhon ki baat karo.....







suno aisa nahi karte,safar tanhaa nahi karte
jinhe shaffaf rakhna ho use maila nahi karte
teri aankhin ijazat dain to hum kaya nahi karte
bohat ujre hoye ghar par bohat socha nahi karte
safar jis ka muqadar ho use roka nahi karte
jo mil k kho jaye use ruswa nahi karte
chalo tum raaz ho apna tumhe afshaa nahi karte
yeh par kase hain kahin saaya nahi karte
kabhi hasne se darta ho kabhi roya nahi karta
jo dhun ho kar guzarne ki to phir socha nahi karte
teri aankhon ko parhte hian tujhe dekha nahi karte
sehar se poch lo muhsin k hum soya nahi karte...