Monday, August 29, 2011

Bhaley dinon ki baat hai (By Ahmed Faraz)

bhaley dino ki baat hai
bhali si ek shakl thii
na yeh ke husn-e-tam ho
na dekhney main aam ho

na yeh ko woh chaley to
kehkashaan sey rehguzar lagey
magar woh sath ho to phir
bhala bhala safar lagey

koi bhi rut ho uski chab
fiza ka rang roop thii
woh garmyon ki chaon thi
woh sardiyon ki dhoop thi

na umr bhar juda rahey
na sath subah shaam ho
na wada-e-wafa pe zor
na yeh ke izn-e-aam ho

na itni khush libasiyaan
ke sadgi gila karey
na itni betakallufi
ke aayeena haya karey

na ikhtilaat main woh ram
ke bemaza ho khuwahishain
na is qadar supurdugi
ke zich karain nawazishain

na aashiqui junuun ki
ke zindagii azaab ho
na is qadar kathor pan
ke dosti kharab ho

kabhii to baat bhii khafii
kabhii sukuut bhii sukhan
kabhii to kasht-e-zaafran
kabhii udasiyon ka ban

suna hai ek umr hai
muamilaat-e-dil ki bhii
wisaal-e-janfiza to kiya
firaq-e-jangusal ki bhii

so ek roz kiya hua
wafa pe behes chir gayee
main ishq ko amar kahoon
woh meri zid sey chir gayee

main ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke sath ko
woh bad-tar az hawas kahey

shajar, hajar nahiin ke hum
humesha pa-ba-gil rahein
na dhaur hain ke rassiyaan
galey main mustaqil rahein

mohabbaton ki wusatain
humarey dast-o-paa main hain
ke eik dar sey nisbatain
sagaan-e-bawafa main hain

main koii painting nahiin
ke ek frame main rahoon
wohii jo man ka meet ho
usi ke prem main rahoon

tumhari jo bhii soch ho
main us mizaaj kii nahiin
mujhey wafa sey bair hai
yeh baat aaj ki nahiin

na us ko mujh pe zuam tha
na mujh ko us pe naaz hii
jo ahd hii koii na ho
to kiya gham-e-shikastagii

so apna apna raasta
hansii khushii badal diya
woh apnii rah chal parii
main apnii rah chal diya

bhalii si ek shakl thii
bhalii si uski dostii
ab us kii yaad raat din
nahii magar kabhii kabhii

Muhammad Mercy upon mankind